pa-ba-zanjir hain bebak sadaen kaisi
pā-ba-zanjīr haiñ bebāk sadā.eñ kaisī
qaid haiñ shahr-e-tamannā meñ havā.eñ kaisī
ham ne chehre to naqāboñ meñ chhupā rakkhe the
ā.inoñ meñ nazar aatī haiñ balā.eñ kaisī
har taraf apnā hī chehra nazar aatā hai mujhe
oḌh liiñ merī nigāhoñ ne dishā.eñ kaisī
saañs liije to kamāñ zaḳhm kī tan jaatī hai
sirf jiine kā qusūr aur sazā.eñ kaisī
devtā phir se bilote haiñ samundar shāyad
varna dhartī pe har ik samt vabā.eñ kaisī
paas pahuñche to vahī sifr alif ke uupar
duur se thiiñ yahī ḳhush-rang qabā.eñ kaisī
haath se haath na jaatā rahe gumrāhī kā
kyā pata aap na.ī raah batā.eñ kaisī
koī gardan-zadanī ho to hazāroñ hiile
baḳhshnā hī koī chāhe to ḳhatā.eñ kaisī
tursh ġhazleñ bhī 'muzaffar' kī mazā detī haiñ
mere baare meñ ye chaltī huī raa.eñ kaisī
pa-ba-zanjir hain bebak sadaen kaisi
qaid hain shahr-e-tamanna mein hawaen kaisi
hum ne chehre to naqabon mein chhupa rakkhe the
aainon mein nazar aati hain balaen kaisi
har taraf apna hi chehra nazar aata hai mujhe
oDh lin meri nigahon ne dishaen kaisi
sans lije to kaman zaKHm ki tan jati hai
sirf jine ka qusur aur sazaen kaisi
dewta phir se bilote hain samundar shayad
warna dharti pe har ek samt wabaen kaisi
pas pahunche to wahi sifr alif ke upar
dur se thin yahi KHush-rang qabaen kaisi
hath se hath na jata rahe gumrahi ka
kya pata aap nai rah bataen kaisi
koi gardan-zadani ho to hazaron hile
baKHshna hi koi chahe to KHataen kaisi
tursh ghazlen bhi 'muzaffar' ki maza deti hain
mere bare mein ye chalti hui raen kaisi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.