pa-barahna hain ab ke jangal mein
pā-barahna haiñ ab ke jangal meñ
tū bhī maiñ bhī talab ke jangal meñ
ḳhāk-e-ḳhvāhish bhī ab nahīñ uḌtī
ḳhuun kī tāb-o-tab ke jangal meñ
haañ abhī aarzū nahīñ niklī
aur kuchh roz ab ke jangal meñ
kufr-o-islām mil rahe haiñ gale
aur kyā hai adab ke jangal meñ
vo bhī merī tarah se rah legā
umr bhar roz-o-shab ke jangal meñ
kaun aa.egā milne ko 'aḳhtar'
aisī vīrān shab ke jangal meñ
pa-barahna hain ab ke jangal mein
tu bhi main bhi talab ke jangal mein
KHak-e-KHwahish bhi ab nahin uDti
KHun ki tab-o-tab ke jangal mein
han abhi aarzu nahin nikli
aur kuchh roz ab ke jangal mein
kufr-o-islam mil rahe hain gale
aur kya hai adab ke jangal mein
wo bhi meri tarah se rah lega
umr bhar roz-o-shab ke jangal mein
kaun aaega milne ko 'aKHtar'
aisi viran shab ke jangal mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.