pa kar shamim gesu-e-jaanan saba se aaj
pā kar shamīm gesū-e-jānāñ sabā se aaj
miltā nahīñ dimāġh guloñ ko havā se aaj
ohda-bar-ā jo honā thā 'ahd-e-vafā se aaj
ham kyā subuk sirā na mile haiñ qazā se aaj
kah de ye koī sheva-e-hājat-ravā se aaj
bargashta ho ke baat na karnā gadā se aaj
jab hai ‘amal fuzūl du'ā ġhair mustajāb
to haath uThā.e lete haiñ ham mudda'ā se aaj
is tarah us ne uzr-e-taġhāful meñ aah kī
phir ho ga.ī umīd-e-vafā bevafā se aaj
ye josh-e-ibtilā hai ki ahl-e-safīna bhī
nārāz nāḳhudā se haiñ nā-ḳhush ḳhudā se aaj
pa kar shamim gesu-e-jaanan saba se aaj
milta nahin dimagh gulon ko hawa se aaj
ohda-bar-a jo hona tha 'ahd-e-wafa se aaj
hum kya subuk sira na mile hain qaza se aaj
kah de ye koi shewa-e-hajat-rawa se aaj
bargashta ho ke baat na karna gada se aaj
jab hai ‘amal fuzul du'a ghair mustajab
to hath uThae lete hain hum mudda'a se aaj
is tarah us ne uzr-e-taghaful mein aah ki
phir ho gai umid-e-wafa bewafa se aaj
ye josh-e-ibtila hai ki ahl-e-safina bhi
naraaz naKHuda se hain na-KHush KHuda se aaj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.