paband-e-rasm-o-riwayat hain aain-e-mohabbat kya jaanen
paband-e-rasm-o-riwayat hain aain-e-mohabbat kya jaanen
Mohan Singh Deewana
MORE BYMohan Singh Deewana
pāband-e-rasm-o-rivāyat haiñ ā.īn-e-mohabbat kyā jāneñ
sajde asnām ko karte haiñ ye auj-e-ibādat kyā jāneñ
jam.a-o-tafrīq meñ ġhaltāñ haiñ taqsīm-o-zarb se pechāñ haiñ
ye shaukat-e-īmāñ kyā jāneñ ye shān-e-hamiyyat kyā jāneñ
ye shaiḳh hai ye maulānā hai ye zāhid hai ye suufī hai
ye hazz-e-rifāqat kyā jāneñ ye nashsha-e-sohbat kyā jāneñ
yā hosh-o-havās kī bāteñ haiñ yā fikr-o-ḳhirad kī ghāteñ haiñ
majnūñ kī riyāzat kyā jāneñ farhād kī jur.at kyā jāneñ
qismat meñ nahīñ shab-bedārī be-bahra girya-o-zārī hai
ye afv kī rahmat kyā jāneñ ye juud kī azmat kyā jāneñ
paband-e-rasm-o-riwayat hain aain-e-mohabbat kya jaanen
sajde asnam ko karte hain ye auj-e-ibaadat kya jaanen
jama-o-tafriq mein ghaltan hain taqsim-o-zarb se pechan hain
ye shaukat-e-iman kya jaanen ye shan-e-hamiyyat kya jaanen
ye shaiKH hai ye maulana hai ye zahid hai ye sufi hai
ye hazz-e-rifaqat kya jaanen ye nashsha-e-sohbat kya jaanen
ya hosh-o-hawas ki baaten hain ya fikr-o-KHirad ki ghaten hain
majnun ki riyazat kya jaanen farhad ki jurat kya jaanen
qismat mein nahin shab-bedari be-bahra girya-o-zari hai
ye afw ki rahmat kya jaanen ye jud ki azmat kya jaanen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.