pabandi-e-hisar se aage nikal gae
pābandī-e-hisār se aage nikal ga.e
nafrat kī zid meñ pyaar se aage nikal ga.e
is darja iḳhtiyār use ḳhud pe de diyā
ham us ke iḳhtiyār se aage nikal ga.e
apne qadam ko apnī hī jānib baḌhā liyā
duniyā kī har qatār se aage nikal ga.e
āvāz dī ga.ī hameñ tāḳhīr se bahut
itnī ki ham pukār se aage nikal ga.e
muḌ kar bhī dekhne kī ijāzat nahīñ milī
ham bhī rah-e-ġhubār se aage nikal ga.e
jo log kār-e-ishq meñ masrūf ho ga.e
vo fikr-e-rozgār se aage nikal ga.e
jiinā muhāl shahr meñ itnā huā ki ham
marne ke intizār se aage nikal ga.e
pabandi-e-hisar se aage nikal gae
nafrat ki zid mein pyar se aage nikal gae
is darja iKHtiyar use KHud pe de diya
hum us ke iKHtiyar se aage nikal gae
apne qadam ko apni hi jaanib baDha liya
duniya ki har qatar se aage nikal gae
aawaz di gai hamein taKHir se bahut
itni ki hum pukar se aage nikal gae
muD kar bhi dekhne ki ijazat nahin mili
hum bhi rah-e-ghubar se aage nikal gae
jo log kar-e-ishq mein masruf ho gae
wo fikr-e-rozgar se aage nikal gae
jina muhaal shahr mein itna hua ki hum
marne ke intizar se aage nikal gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.