pabandi-e-izhaar ki lanat hi alag hai
pābandī-e-iz.hār kī la.anat hī alag hai
ḳhāmosh zabānoñ kī hikāyat hī alag hai
jo tum ne sitam Dhaa.e haiñ vo aur haiñ lekin
is dard-e-judā.ī kī aziyyat hī alag hai
tum ne to adāoñ se bahut qatl kiye haiñ
andāz-e-taġhāful kī qayāmat hī alag hai
hoñToñ se to hote haiñ adā harf-e-mohabbat
āñkhoñ ke ishāre kī vazāhat hī alag hai
tā-hadd-e-nazar diid ke qābil haiñ nazāre
lekin tire dīdār kī hasrat hī alag hai
ishrat-kada-e-dahr meñ kyā kyā nahīñ lekin
tere lab-o-ruḳhsār kī jannat hī alag hai
paḌhte haiñ baḌe shauq se arbāb-e-tahaffuz
'ajmal' tire ash.ār kī nudrat hī alag hai
pabandi-e-izhaar ki lanat hi alag hai
KHamosh zabanon ki hikayat hi alag hai
jo tum ne sitam Dhae hain wo aur hain lekin
is dard-e-judai ki aziyyat hi alag hai
tum ne to adaon se bahut qatl kiye hain
andaz-e-taghaful ki qayamat hi alag hai
honTon se to hote hain ada harf-e-mohabbat
aankhon ke ishaare ki wazahat hi alag hai
ta-hadd-e-nazar did ke qabil hain nazare
lekin tere didar ki hasrat hi alag hai
ishrat-kada-e-dahr mein kya kya nahin lekin
tere lab-o-ruKHsar ki jannat hi alag hai
paDhte hain baDe shauq se arbab-e-tahaffuz
'ajmal' tere ashaar ki nudrat hi alag hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.