pabandi-e-rahat mujhe manzur nahin hai
pābandī-e-rāhat mujhe manzūr nahīñ hai
maiñ ḳhush huuñ ki fitrat mirī majbūr nahīñ hai
bālīñ pe ziyā-e-ruḳh-e-pur-e-nūr nahīñ hai
ab koī ilāj-e-dil-e-ranjūr nahīñ hai
ab koī jagah husn se māmūr nahīñ hai
is dil ke sivā aur koī tuur nahīñ hai
karnā jo paḌe minnat-e-aġhyār ajab kyā
ye bhī mirī taqdīr se kuchh duur nahīñ hai
maiñ ne jo kahā jiitā huuñ ummīd-e-vafā par
farmāyā zamāne kā ye dastūr nahīñ hai
marne kī tamanna ho ki jiine kī ho ḳhvāhish
ik baat bhī merī nahīñ manzūr nahīñ hai
ham dair se hote hue ai shaiḳh chaleñge
is raah se ka.aba bhī koī duur nahīñ hai
o but tirā patthar kā kalejā bhī ho paanī
allāh kī qudrat se ye kuchh duur nahīñ hai
paimāna bhare detī haiñ saaqī kī nigāheñ
vo aañkh nahīñ aaj jo maḳhmūr nahīñ hai
kyā roz dikhātā hai na jaane ye dil-e-zār
ab tak to 'shamīm' aap kā mash.hūr nahīñ hai
pabandi-e-rahat mujhe manzur nahin hai
main KHush hun ki fitrat meri majbur nahin hai
baalin pe ziya-e-ruKH-e-pur-e-nur nahin hai
ab koi ilaj-e-dil-e-ranjur nahin hai
ab koi jagah husn se mamur nahin hai
is dil ke siwa aur koi tur nahin hai
karna jo paDe minnat-e-aghyar ajab kya
ye bhi meri taqdir se kuchh dur nahin hai
main ne jo kaha jita hun ummid-e-wafa par
farmaya zamane ka ye dastur nahin hai
marne ki tamanna ho ki jine ki ho KHwahish
ek baat bhi meri nahin manzur nahin hai
hum dair se hote hue ai shaiKH chalenge
is rah se kaba bhi koi dur nahin hai
o but tera patthar ka kaleja bhi ho pani
allah ki qudrat se ye kuchh dur nahin hai
paimana bhare deti hain saqi ki nigahen
wo aankh nahin aaj jo maKHmur nahin hai
kya roz dikhata hai na jaane ye dil-e-zar
ab tak to 'shamim' aap ka mashhur nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.