pagal si hawa Dhalti hui sham samundar
pāgal sī havā Dhaltī huī shaam samundar
aise hī kahīñ le na tirā naam samundar
vīrānoñ meñ bhaTkeñ ki tire shahr meñ Thahreñ
āñkhoñ meñ dar aatā hai sar-e-shām samundar
hai taaza havāoñ pe ye ilzām ki chup haiñ
kuchh aisā hī tujh par bhī hai ilzām samundar
kāġhaz kī banī naav meñ baiThe hue ham log
girdāb se nikle haiñ zarā thaam samundar
de izn ki paanī pe makāñ apne banā.eñ
ab saarī zamīñ ho ga.ī nīlām samundar
sunte haiñ vahāñ aks ubharte haiñ badan ke
chalte haiñ chalo ham bhī sar-e-shām samundar
kis vaqt zamīñ mere qadam lene lagī hai
jab rah gayā miTTī se bas ik gaam samundar
tū aks-e-falak hai to falak aa.ina terā
ik raqs-e-musalsal hai tirā kaam samundar
chaḌhte hue dariyā hoñ ki sūkhī huī nahreñ
rakhte haiñ tire sar sabhī ilzām samundar
kyā bhar ga.e paanī se labālab ki 'matīn' aaj
dene lage sahrāoñ ko dushnām samundar
pagal si hawa Dhalti hui sham samundar
aise hi kahin le na tera nam samundar
viranon mein bhaTken ki tere shahr mein Thahren
aankhon mein dar aata hai sar-e-sham samundar
hai taza hawaon pe ye ilzam ki chup hain
kuchh aisa hi tujh par bhi hai ilzam samundar
kaghaz ki bani naw mein baiThe hue hum log
girdab se nikle hain zara tham samundar
de izn ki pani pe makan apne banaen
ab sari zamin ho gai nilam samundar
sunte hain wahan aks ubharte hain badan ke
chalte hain chalo hum bhi sar-e-sham samundar
kis waqt zamin mere qadam lene lagi hai
jab rah gaya miTTi se bas ek gam samundar
tu aks-e-falak hai to falak aaina tera
ek raqs-e-musalsal hai tera kaam samundar
chaDhte hue dariya hon ki sukhi hui nahren
rakhte hain tere sar sabhi ilzam samundar
kya bhar gae pani se labaalab ki 'matin' aaj
dene lage sahraon ko dushnam samundar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.