pamal-e-arzu dil-e-nakaam hi to hai
pāmāl-e-ārzū dil-e-nākām hī to hai
ḳhush huuñ ki ye bhī ishq kā anjām hī to hai
go zindagī kī shaam sahī shaam hī to hai
ek ibtidā-e-sub.h ḳhush-anjām hī to hai
insāniyat kā ḳhuun nahīñ shaiḳh-e-mohtaram
mere subū meñ bāda-e-gulfām hī to hai
tum to ġham-e-hayāt se bachte ho is tarah
jaise ye koī zahr-bharā jaam hī to hai
mere laboñ pe shikva-e-taqdīr to nahīñ
zikr-e-ma.āl-e-gardish-e-ayyām hī to hai
maiñ jab se mubtalā-e-ġham-e-rozgār huuñ
taklīf to nahīñ mujhe ārām hī to hai
jis ārzū-e-shauq se chhūTe na jaañ kabhī
vo ārzū-e-shauq kahāñ daam hī to hai
is naam se ki shā.ir-e-shīrīñ-maqāl hai
terā 'atīq' shahr meñ badnām hī to hai
pamal-e-arzu dil-e-nakaam hi to hai
KHush hun ki ye bhi ishq ka anjam hi to hai
go zindagi ki sham sahi sham hi to hai
ek ibtida-e-subh KHush-anjam hi to hai
insaniyat ka KHun nahin shaiKH-e-mohtaram
mere subu mein baada-e-gulfam hi to hai
tum to gham-e-hayat se bachte ho is tarah
jaise ye koi zahr-bhara jam hi to hai
mere labon pe shikwa-e-taqdir to nahin
zikr-e-maal-e-gardish-e-ayyam hi to hai
main jab se mubtala-e-gham-e-rozgar hun
taklif to nahin mujhe aaram hi to hai
jis aarzu-e-shauq se chhuTe na jaan kabhi
wo aarzu-e-shauq kahan dam hi to hai
is nam se ki shair-e-shirin-maqal hai
tera 'atiq' shahr mein badnam hi to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.