pana tamam umr hai khona tamam umr
paanā tamām 'umr hai khonā tamām 'umr
yūñhī lagā rahegā tamāsha tamām 'umr
tum chāhte the Thiik hai lekin kisī ko bhī
dekhā kisī ke saath Thahartā tamām 'umr
jī chāhtā hai vaqt kī raftār rok duuñ
Thahrā rahe yahīñ pe ye lamha tamām 'umr
lamhoñ ko rokne kī bhī ḳhvāhish 'ajīb hai
Thahrā kabhī hai kyā koī lamha tamām 'umr
tum ḳhud batāo ye bhī koī zindagī huī
ġhairoñ ke āshiyānoñ meñ rahnā tamām 'umr
ḳhud ko bhī chhoḌ aa.e the tum bhī nahīñ mile
ab apnā intizār rahegā tamām 'umr
bas dasht dasht ābla-pā.ī huī nasīb
ab kyā batā.eñ jhelā hai kyā kyā tamām 'umr
'māhī' du'ā karo dil-e-bīmār ke liye
varna jahāñ meñ dil nahīñ lagnā tamām 'umr
haq kis tarah adā ho tirā ai ġham-e-hayāt
nauha tamām 'umr ho girya tamām 'umr
pana tamam 'umr hai khona tamam 'umr
yunhi laga rahega tamasha tamam 'umr
tum chahte the Thik hai lekin kisi ko bhi
dekha kisi ke sath Thaharta tamam 'umr
ji chahta hai waqt ki raftar rok dun
Thahra rahe yahin pe ye lamha tamam 'umr
lamhon ko rokne ki bhi KHwahish 'ajib hai
Thahra kabhi hai kya koi lamha tamam 'umr
tum KHud batao ye bhi koi zindagi hui
ghairon ke aashiyanon mein rahna tamam 'umr
KHud ko bhi chhoD aae the tum bhi nahin mile
ab apna intizar rahega tamam 'umr
bas dasht dasht aabla-pai hui nasib
ab kya bataen jhela hai kya kya tamam 'umr
'mahi' du'a karo dil-e-bimar ke liye
warna jahan mein dil nahin lagna tamam 'umr
haq kis tarah ada ho tera ai gham-e-hayat
nauha tamam 'umr ho girya tamam 'umr
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.