pane ka zikr kya ki ganwana bahut hua
paane kā zikr kyā ki gañvānā bahut huā
dil us kī be-ruḳhī kā nishāna bahut huā
ḳhvāboñ kī gaThrī laad ke kab tak jiyeñge ham
palkoñ pe un kā baar uThānā bahut huā
hotā hai dard jab kabhī aa jaa.e us kā zikr
go zaḳhm-e-dil hamārā purānā bahut huā
mujh ko nahīñ qubūl tumhārā koī javāz
ab roz roz kā ye bahāna bahut huā
auroñ ke dard-o-ġham kā pata chal gayā hai nā
ab to hañso ki ronā rulānā bahut huā
tā'bīr chāhiye mujhe tadbīr kījiye
āñkhoñ ko ḳhvāb-vāb dikhānā bahut huā
'farzāna' koī baat ġhazal meñ na.ī kaho
zikr-e-visāl-o-hijr purānā bahut huā
pane ka zikr kya ki ganwana bahut hua
dil us ki be-ruKHi ka nishana bahut hua
KHwabon ki gaThri lad ke kab tak jiyenge hum
palkon pe un ka bar uThana bahut hua
hota hai dard jab kabhi aa jae us ka zikr
go zaKHm-e-dil hamara purana bahut hua
mujh ko nahin qubul tumhaara koi jawaz
ab roz roz ka ye bahana bahut hua
auron ke dard-o-gham ka pata chal gaya hai na
ab to hanso ki rona rulana bahut hua
ta'bir chahiye mujhe tadbir kijiye
aankhon ko KHwab-wab dikhana bahut hua
'farzana' koi baat ghazal mein nai kaho
zikr-e-visal-o-hijr purana bahut hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.