pani bharte jate hain
paanī bharte jaate haiñ
darshan karte jaate haiñ
dil meñ lagī tasvīroñ ke
rang utarte jaate haiñ
ḳhālī mashkīzoñ ke saath
aaheñ bharte jaate haiñ
dhundlī āñkhoñ ke pīchhe
ḳhvāb bhī marte jaate haiñ
ġhazal kī sīḌhī par chaḌhte
Darte Darte jaate haiñ
jaise pyaaz ke chhilke hoñ
bhed utarte jaate haiñ
ashk agarbattī aur phuul
qabr pe dharte jaate haiñ
pani bharte jate hain
darshan karte jate hain
dil mein lagi taswiron ke
rang utarte jate hain
KHali mashkizon ke sath
aahen bharte jate hain
dhundli aankhon ke pichhe
KHwab bhi marte jate hain
ghazal ki siDhi par chaDhte
Darte Darte jate hain
jaise pyaz ke chhilke hon
bhed utarte jate hain
ashk agarbatti aur phul
qabr pe dharte jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.