pani kahin na saya kisi rah-guzar mein tha
paanī kahīñ na saaya kisī rah-guzar meñ thā
sar par kaḌī thī dhuup musāfir safar meñ thā
ham ne bhī ye sunā thā shab-e-ġham guzar ga.ī
lekin lahū kā rang numūd-e-sahar meñ thā
maanā ki ik sarāb thī rangīni-e-hayāt
kuchh lutf-e-zindagī bhī fareb-e-nazar meñ thā
kuchh nā-tamām ḳhvāhisheñ aur valvaloñ kī laash
le kar ye zād-e-rāh musāfir safar meñ thā
har moḌ har ravish pe shagūfe khilā ga.ī
afsūñ ye kis ġhazab kā tumhārī nazar meñ thā
'bahzād' kyoñ hamīñ pe hue pattharoñ ke vaar
har shaḳhs yuuñ to aap hī shīshe ke ghar meñ thā
pani kahin na saya kisi rah-guzar mein tha
sar par kaDi thi dhup musafir safar mein tha
hum ne bhi ye suna tha shab-e-gham guzar gai
lekin lahu ka rang numud-e-sahar mein tha
mana ki ek sarab thi rangini-e-hayat
kuchh lutf-e-zindagi bhi fareb-e-nazar mein tha
kuchh na-tamam KHwahishen aur walwalon ki lash
le kar ye zad-e-rah musafir safar mein tha
har moD har rawish pe shagufe khila gai
afsun ye kis ghazab ka tumhaari nazar mein tha
'bahzad' kyon hamin pe hue pattharon ke war
har shaKHs yun to aap hi shishe ke ghar mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.