pani ki dariya-pardaz ibarat bhi majhul gai
paanī kī dariyā-pardāz 'ibārat bhī maj.hūl ga.ī
sotoñ vaalī bel phūTne jhaḌne meñ mashġhūl ga.ī
naqsh-e-pā-e-sabz pe riijh ga.e to ye zanjīr kaTī
zard paañv kī vahshat thī ki safar kī kaḌiyāñ bhuul ga.ī
āvāzeñ rang-o-bū kī thiiñ so pak thak kar Tuut girīñ
ḳhāmoshī kī shāḳh bharī so hasb-e-samā'at jhuul ga.ī
kyā muta'addī fe'l huā miTTī kī azalī taḳhtī par
būdash kī tastīr musalsal miTne tak maf'ūl ga.ī
paud-gharoñ meñ shor uThā dāboñ ne kahā ham bāġhī haiñ
gamloñ kī tahrīk-e-bāġh muñDeroñ tak nirmūl ga.ī
āmad-e-ḳhvāb-e-dūr-darāz ko bhālte chehre bikhar ga.e
māh-o-sāl ke jhakkaḌ se bas darvāzoñ tak dhuul ga.ī
rauzan-e-chashm ke hone se ye navishta nazar-andāz huā
dekho is dīvār-e-dil kī ik ik iiñT fuzūl ga.ī
pani ki dariya-pardaz 'ibarat bhi majhul gai
soton wali bel phuTne jhaDne mein mashghul gai
naqsh-e-pa-e-sabz pe rijh gae to ye zanjir kaTi
zard panw ki wahshat thi ki safar ki kaDiyan bhul gai
aawazen rang-o-bu ki thin so pak thak kar Tut girin
KHamoshi ki shaKH bhari so hasb-e-sama'at jhul gai
kya muta'addi fe'l hua miTTi ki azali taKHti par
budash ki tastir musalsal miTne tak maf'ul gai
paud-gharon mein shor uTha dabon ne kaha hum baghi hain
gamlon ki tahrik-e-bagh munDeron tak nirmul gai
aamad-e-KHwab-e-dur-daraaz ko bhaalte chehre bikhar gae
mah-o-sal ke jhakkaD se bas darwazon tak dhul gai
rauzan-e-chashm ke hone se ye nawishta nazar-andaz hua
dekho is diwar-e-dil ki ek ek inT fuzul gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.