pani ko patthar kahte hain
paanī ko patthar kahte haiñ
kyā kuchh dīda-var kahte haiñ
ḳhush-fahmī kī had hotī haiñ
ḳhud ko dānish-var kahte haiñ
kaun lagī-lipTī rakhtā hai
ham tere muñh par kahte haiñ
Thiik hī kahte hoñge phir to
jab ye professor kahte haiñ
sab un ko andar samjhe the
vo ḳhud ko bāhar kahte haiñ
terā is meñ kyā jaatā hai
apne khañDar ko ghar kahte haiñ
nazm samajh meñ kab aatī hai
dekh is ko mantar kahte haiñ
pani ko patthar kahte hain
kya kuchh dida-war kahte hain
KHush-fahmi ki had hoti hain
KHud ko danish-war kahte hain
kaun lagi-lipTi rakhta hai
hum tere munh par kahte hain
Thik hi kahte honge phir to
jab ye professor kahte hain
sab un ko andar samjhe the
wo KHud ko bahar kahte hain
tera is mein kya jata hai
apne khanDar ko ghar kahte hain
nazm samajh mein kab aati hai
dekh is ko mantar kahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.