pani miT kar bhi rah gaya pani
paanī miT kar bhī rah gayā paanī
hue kyā baat kah gayā paanī
kaT gayā buuñd buuñd meñ patthar
choT patthar kī sah gayā paanī
ḳhvāb bhī barf ke gharauñde the
jab khulī aañkh rah gayā paanī
shor kitnā kiyā thā lahroñ ne
ek tūfāñ meñ bah gahā paanī
zindagī naam hai ravānī kā
jaate jaate ye kah gayā paanī
ham nazāroñ ko dekhte hī rahe
pul ke nīche se bah gayā paanī
pani miT kar bhi rah gaya pani
hue kya baat kah gaya pani
kaT gaya bund bund mein patthar
choT patthar ki sah gaya pani
KHwab bhi barf ke gharaunde the
jab khuli aankh rah gaya pani
shor kitna kiya tha lahron ne
ek tufan mein bah gaha pani
zindagi nam hai rawani ka
jate jate ye kah gaya pani
hum nazaron ko dekhte hi rahe
pul ke niche se bah gaya pani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.