Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pani pani ho gaya josh abr-e-dariya-bar ka

Dattatriya Kaifi

pani pani ho gaya josh abr-e-dariya-bar ka

Dattatriya Kaifi

MORE BYDattatriya Kaifi

    paanī paanī ho gayā josh abr-e-dariyā-bār

    dekh kar tūfāñ hamāre dīda-hā-e-zār

    chashm-e-hamdardī marīz-e-ishq in āñkhoñ se na rakh

    kaam kyā nikle bhalā bīmār se bīmār

    dil se hamdam ne rah-e-ulfat meñ ye dhokā diyā

    kyā kare ab koī duniyā meñ bharosā yaar

    dil diyā jis ko usī ne dāġh-e-māyūsī diyā

    raas aayā na ham ko haa.e karnā pyaar

    miTāyā us likhvāyā maiñ ḳhud miT gayā

    ai muqaddar ab to ye sar aur dar hai yaar

    ham ne 'kaifī' ḳhuub āñkheñ laḌā.īñ us se kal

    kar diyā saarā hiran nashsha nigāh-e-yār

    pani pani ho gaya josh abr-e-dariya-bar ka

    dekh kar tufan hamare dida-ha-e-zar ka

    chashm-e-hamdardi mariz-e-ishq in aankhon se na rakh

    kaam kya nikle bhala bimar se bimar ka

    dil se hamdam ne rah-e-ulfat mein ye dhoka diya

    kya kare ab koi duniya mein bharosa yar ka

    dil diya jis ko usi ne dagh-e-mayusi diya

    ras hi aaya na hum ko hae karna pyar ka

    ya miTaya us ka likhwaya main KHud hi miT gaya

    ai muqaddar ab to ye sar aur dar hai yar ka

    hum ne 'kaifi' KHub hi aankhen laDain us se kal

    kar diya sara hiran nashsha nigah-e-yar ka

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now