pani se dahliz bhari hai dhup bhi ghar ke andar hai
pani se dahliz bhari hai dhup bhi ghar ke andar hai
Shamim Anjum Warsi
MORE BYShamim Anjum Warsi
paanī se dahlīz bharī hai dhuup bhī ghar ke andar hai
manzar hai yā pas-manzar meñ koī ajūba manzar hai
ai āñkhoñ meñ basne vaalo mujh meñ utar kar dekho bhī
saat samundar kī gahrā.ī merī zaat ke andar hai
daur-e-pur-āshob hai yā ki mausam kī hai nairangī
jin hāthoñ meñ phuul khile the un hāthoñ meñ ḳhanjar hai
mujh se bichhaḌ kar us ke dil meñ ḳhushiyoñ kā hai jamm-e-ġhafīr
aur mirī āñkhoñ se jaarī ashkoñ kā ik lashkar hai
phuul khilā de jo lafzoñ kī barfīlī chaTTānoñ par
koī shamīm 'anjum' se pūchhe aisā kaun suḳhan-var hai
pani se dahliz bhari hai dhup bhi ghar ke andar hai
manzar hai ya pas-manzar mein koi ajuba manzar hai
ai aankhon mein basne walo mujh mein utar kar dekho bhi
sat samundar ki gahrai meri zat ke andar hai
daur-e-pur-ashob hai ya ki mausam ki hai nairangi
jin hathon mein phul khile the un hathon mein KHanjar hai
mujh se bichhaD kar us ke dil mein KHushiyon ka hai jamm-e-ghafir
aur meri aankhon se jari ashkon ka ek lashkar hai
phul khila de jo lafzon ki barfili chaTTanon par
koi shamim 'anjum' se puchhe aisa kaun suKHan-war hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.