panw chadar se nikal jae na bahar mera
paañv chādar se nikal jaa.e na bāhar merā
mujh ko auqāt meñ rakhtā hai yahī Dar merā
khol detā hai qafas bāñdh ke vo pankh mire
yuuñ bhī Dhātā hai sitam mujh pe sitamgar merā
chhoTe kamre the magar thā baḌā āñgan jis kā
mere sapnoñ meñ bahut aatā hai vo ghar merā
silvaTeñ paa.ī haiñ chehre kī gañvā kar ik 'umr
chhīn pā.egā na ab vaqt ye zevar merā
raat ko raat kahūñ din ko kahūñ din hī maiñ
raas aayā na zamāne ko ye tevar merā
aap achchhe haiñ to sab log mileñge achchhe
Tuut jaatā hai 'sifar' vahm ye aksar merā
panw chadar se nikal jae na bahar mera
mujh ko auqat mein rakhta hai yahi Dar mera
khol deta hai qafas bandh ke wo pankh mere
yun bhi Dhata hai sitam mujh pe sitamgar mera
chhoTe kamre the magar tha baDa aangan jis ka
mere sapnon mein bahut aata hai wo ghar mera
silwaTen pai hain chehre ki ganwa kar ek 'umr
chhin paega na ab waqt ye zewar mera
raat ko raat kahun din ko kahun din hi main
ras aaya na zamane ko ye tewar mera
aap achchhe hain to sab log milenge achchhe
Tut jata hai 'sifar' wahm ye aksar mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.