panw ka dhyan to hai rah ka Dar koi nahin
paañv kā dhyān to hai raah kā Dar koī nahīñ
mujh ko lagtā hai mirā zād-e-safar koī nahīñ
ba.az auqāt to maiñ ḳhud pe bahut chīḳhtā huuñ
chīḳhtā huuñ ki udhar jaao jidhar koī nahīñ
sar pe dīvār kā saayā bhī udāsī hai mujhe
zāhiran aisī udāsī kā asar koī nahīñ
āḳhirī baar mujhe khīñch ke siine se lagā
aur phir dekh mujhe maut kā Dar koī nahīñ
ḳhud-kushī karte samay pūchhtā huuñ merā aziiz
aur āvāz sī aatī hai tū mar, koī nahīñ
bharī duniyā hai sisakne meñ jhijak hogī tumheñ
ye mirā dil hai idhar ro lo idhar koī nahīñ
ek din log mujhe taḳht-nashīñ dekheñge
yā ye dekheñge mirā jism hai sar koī nahīñ
us kī hijrat baḌā a.asāb-shikan sāneha thī
shahr to shahr hai jangal meñ shajar koī nahīñ
sub.h se raat kī māyūsī bhagāne kā sabab
koī to hotā mire dost magar koī nahīñ
be-ḳhayālī sī mujhe god meñ bhar letī hai
dar pe dastak ho to kah detā huuñ ghar koī nahīñ
panw ka dhyan to hai rah ka Dar koi nahin
mujh ko lagta hai mera zad-e-safar koi nahin
baz auqat to main KHud pe bahut chiKHta hun
chiKHta hun ki udhar jao jidhar koi nahin
sar pe diwar ka saya bhi udasi hai mujhe
zahiran aisi udasi ka asar koi nahin
aaKHiri bar mujhe khinch ke sine se laga
aur phir dekh mujhe maut ka Dar koi nahin
KHud-kushi karte samay puchhta hun mera aziz
aur aawaz si aati hai tu mar, koi nahin
bhari duniya hai sisakne mein jhijak hogi tumhein
ye mera dil hai idhar ro lo idhar koi nahin
ek din log mujhe taKHt-nashin dekhenge
ya ye dekhenge mera jism hai sar koi nahin
us ki hijrat baDa aasab-shikan saneha thi
shahr to shahr hai jangal mein shajar koi nahin
subh se raat ki mayusi bhagane ka sabab
koi to hota mere dost magar koi nahin
be-KHayali si mujhe god mein bhar leti hai
dar pe dastak ho to kah deta hun ghar koi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.