panw kanTon pe to phulon pe nazar rakhte hain
panw kanTon pe to phulon pe nazar rakhte hain
Ustad Vajahat Husain Khan
MORE BYUstad Vajahat Husain Khan
paañv kāñToñ pe to phūloñ pe nazar rakhte haiñ
fikr-e-manzil hai baḌā 'azm-e-safar rakhte haiñ
bas unhīñ logoñ kī taqdīr badal saktī hai
jo guzarte hue har pal kī ḳhabar rakhte haiñ
un ko har haal meñ andesha-e-rusvā.ī hai
jo sadā ġhair ke 'aiboñ pe nazar rakhte haiñ
kaun qātil ko sazā de sake munsif ban ke
vo kahāñ haiñ jo parakhne kā hunar rakhte haiñ
gardish-e-vaqt kā chaltā nahīñ jaadū un par
ḳhud ko har haal meñ jo sīna-sipar rakhte haiñ
jauharī she'r-o-adab ke yahāñ chhupte haiñ kahāñ
apnī jeboñ meñ chhupā.e ye guhar rakhte haiñ
terī bātoñ meñ 'vajāhat' hai balā kī hikmat
dab hī jaate haiñ vo tujh se jo jigar rakhte haiñ
panw kanTon pe to phulon pe nazar rakhte hain
fikr-e-manzil hai baDa 'azm-e-safar rakhte hain
bas unhin logon ki taqdir badal sakti hai
jo guzarte hue har pal ki KHabar rakhte hain
un ko har haal mein andesha-e-ruswai hai
jo sada ghair ke 'aibon pe nazar rakhte hain
kaun qatil ko saza de sake munsif ban ke
wo kahan hain jo parakhne ka hunar rakhte hain
gardish-e-waqt ka chalta nahin jadu un par
KHud ko har haal mein jo sina-sipar rakhte hain
jauhari she'r-o-adab ke yahan chhupte hain kahan
apni jebon mein chhupae ye guhar rakhte hain
teri baaton mein 'wajahat' hai bala ki hikmat
dab hi jate hain wo tujh se jo jigar rakhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.