Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

panw ki KHak the to tere dar ke ho gae

Rashid Fazli

panw ki KHak the to tere dar ke ho gae

Rashid Fazli

MORE BYRashid Fazli

    paañv ḳhaak the to tire dar ke ho ga.e

    andar havā le aa.ī hameñ ghar ke ho ga.e

    ehsās-e-jāñ-kanī se adā kar diye tamām

    saare hisāb arsa-e-mehshar ke ho ga.e

    parchhā.iyoñ meñ jiine lage the ham is qadar

    saa.e hamāre aaj barābar ke ho ga.e

    sābit kare ye kaun ki in meñ bhī jaan thī

    vo saare jism aaj jo patthar ke ho ga.e

    haiñ khel is tamāshā-gah-e-zīst ke ajab

    rutbe baḌe sabhī yahāñ joker ke ho ga.e

    kyā jānte vo zaḳhm-e-jigar kis ke dam se hai

    kāñToñ ko chhoḌ kar jo gul-e-tar ke ho ga.e

    patte to juḌ ke phuul se zīnat the peḌ

    shāḳh-e-hunar se kaT ga.e sarsar ke ho ga.e

    tinkoñ zindagī meñ bhī aatā hai inqalāb

    naale meñ bahte bahte samundar ke ho ga.e

    panw ki KHak the to tere dar ke ho gae

    andar hawa le aai hamein ghar ke ho gae

    ehsas-e-jaan-kani se ada kar diye tamam

    sare hisab arsa-e-mehshar ke ho gae

    parchhaiyon mein jine lage the hum is qadar

    sae hamare aaj barabar ke ho gae

    sabit kare ye kaun ki in mein bhi jaan thi

    wo sare jism aaj jo patthar ke ho gae

    hain khel is tamasha-gah-e-zist ke ajab

    rutbe baDe sabhi yahan joker ke ho gae

    kya jaante wo zaKHm-e-jigar kis ke dam se hai

    kanTon ko chhoD kar jo gul-e-tar ke ho gae

    patte to juD ke phul se zinat the peD ki

    shaKH-e-hunar se kaT gae sarsar ke ho gae

    tinkon ki zindagi mein bhi aata hai inqalab

    nale mein bahte bahte samundar ke ho gae

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now