panw le aae mujhe wadi-e-pur-Khaar ke pas
paañv le aa.e mujhe vādī-e-pur-ḳhār ke paas
sar meñ saudā hai ki chaliye usī dīvār ke paas
mohtasib zid se tirī dil meñ yahī aatā hai
mai-kashī jā ke kareñ terī hī dīvār ke paas
ye na.ī tarz-e-sitam tum ne nikālī sāhib
merā ḳhat jaate ho paḌhvāne ko aġhyār ke paas
fasl-e-gul aa.ī hai phir dasht-navardī ho nasīb
paañv ke aable pahuñchā.eñge phir ḳhaar ke paas
na uThā ham ko ki saa.e kī tarah se bekār
ek muddat se paḌe haiñ tirī dīvār ke paas
duur se dekhte hī mujh ko kahā duur us ne
ab na jā.eñge kabhī aise dil-āzār ke paas
panw le aae mujhe wadi-e-pur-KHar ke pas
sar mein sauda hai ki chaliye usi diwar ke pas
mohtasib zid se teri dil mein yahi aata hai
mai-kashi ja ke karen teri hi diwar ke pas
ye nai tarz-e-sitam tum ne nikali sahib
mera KHat jate ho paDhwane ko aghyar ke pas
fasl-e-gul aai hai phir dasht-nawardi ho nasib
panw ke aable pahunchaenge phir KHar ke pas
na uTha hum ko ki sae ki tarah se bekar
ek muddat se paDe hain teri diwar ke pas
dur se dekhte hi mujh ko kaha dur us ne
ab na jaenge kabhi aise dil-azar ke pas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.