panw mein bandh ke rakkha hai safar jaane de
paañv meñ bāñdh ke rakkhā hai safar jaane de
ham ko kāñToñ bhare gulshan se guzar jaane de
koī ḳhvāhish na mohabbat na milan ke āsār
aise jiine se to achchhā hai ki mar jaane de
is mohabbat meñ to ḳhatrāt bahut haiñ lekin
maiñ samajh saktī huuñ har baat magar jaane de
kashtiyāñ ham bhī jalā deñge irāda hai yahī
kam se kam paar to dariyā ke utar jaane de
zindagī is tarah le kar bhī karūñgī kyā maiñ
TuuT jaane de mujhe aur bikhar jaane de
jo har ik dar pe jhuke ek tere dar ke sivā
aise sar kā bhalā kyā hogā ye sar jaane de
zindagī tū mire raste meñ na roḌe aTkā
merā mahbūb jidhar hai tū udhar jaane de
'anjanā' ishq kī miTTī meñ hai tāsīr bahut
mal ke chehre pe ise mujh ko nikhar jaane de
panw mein bandh ke rakkha hai safar jaane de
hum ko kanTon bhare gulshan se guzar jaane de
koi KHwahish na mohabbat na milan ke aasar
aise jine se to achchha hai ki mar jaane de
is mohabbat mein to KHatraat bahut hain lekin
main samajh sakti hun har baat magar jaane de
kashtiyan hum bhi jala denge irada hai yahi
kam se kam par to dariya ke utar jaane de
zindagi is tarah le kar bhi karungi kya main
TuT jaane de mujhe aur bikhar jaane de
jo har ek dar pe jhuke ek tere dar ke siwa
aise sar ka bhala kya hoga ye sar jaane de
zindagi tu mere raste mein na roDe aTka
mera mahbub jidhar hai tu udhar jaane de
'anjana' ishq ki miTTi mein hai tasir bahut
mal ke chehre pe ise mujh ko nikhar jaane de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.