panw patton pe dhire se dharta hua
paañv pattoñ pe dhīre se dhartā huā
vo guzar jā.egā yuuñ hī Dartā huā
bojh sūraj kā sar par uThāne ko hai
ek saaya nadī meñ utartā huā
shaam sāhil pe gum-sum sī baiThī huī
aur dariyā meñ sonā bikhartā huā
tere aane kī us ko ḳhabar kis ne dī
ek āshufta-sar hai sañvartā huā
dekhtā rah gayā apnī parchhā.iyāñ
vaqt guzrā hai kitnā Thahartā huā
panw patton pe dhire se dharta hua
wo guzar jaega yun hi Darta hua
bojh suraj ka sar par uThane ko hai
ek saya nadi mein utarta hua
sham sahil pe gum-sum si baiThi hui
aur dariya mein sona bikharta hua
tere aane ki us ko KHabar kis ne di
ek aashufta-sar hai sanwarta hua
dekhta rah gaya apni parchhaiyan
waqt guzra hai kitna Thaharta hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.