panw yun naz-KHirami mein nahin Dal abhi
paañv yuuñ nāz-ḳhirāmī meñ nahīñ Daal abhī
kitne hī baaqī haiñ is raah meñ janjāl abhī
jaane kis mausam-e-girya se ye murjhā.e gulāb
jaane kis ranj se haiñ zard tire gaal abhī
aur is ā.ina-e-vaqt ko chamkā mire dost
aur kuchh der khurach zang-e-mah-o-sāl abhī
toḌiye mat abhī is lamha-e-qurbat kā hisār
thāme rakhiye yūñhī rangoñ se bharā thaal abhī
jhāḌiye aur zarā gard-e-masāfat 'tauqīr'
saaf ho paa.e nahīñ dil ke ḳhad-o-ḳhāl abhī
panw yun naz-KHirami mein nahin Dal abhi
kitne hi baqi hain is rah mein janjal abhi
jaane kis mausam-e-girya se ye murjhae gulab
jaane kis ranj se hain zard tere gal abhi
aur is aaina-e-waqt ko chamka mere dost
aur kuchh der khurach zang-e-mah-o-sal abhi
toDiye mat abhi is lamha-e-qurbat ka hisar
thame rakhiye yunhi rangon se bhara thaal abhi
jhaDiye aur zara gard-e-masafat 'tauqir'
saf ho pae nahin dil ke KHad-o-KHal abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.