panw zanjir parakhne mein abhi kachche hain
paañv zanjīr parakhne meñ abhī kachche haiñ
yā tirā hukm samajhne meñ abhī kachche haiñ
peḌ be-mausmī bātoñ kā burā maan gayā
varna kuchh phal haiñ jo chakhne meñ abhī kachche haiñ
ham se kyā hogī ta.alluq meñ burā.ī sāhab
ham to bohtān hī ghaḌne meñ abhī kachche haiñ
itne logoñ meñ koī Dhañg kā vahshī na milā
ek do haiñ bhī to hañsne meñ abhī kachche haiñ
qahqaha maar ke hañsne meñ mahārat hai hameñ
lekin ik zaḳhm ko dhakne meñ abhī kachche haiñ
panw zanjir parakhne mein abhi kachche hain
ya tera hukm samajhne mein abhi kachche hain
peD be-mausmi baaton ka bura man gaya
warna kuchh phal hain jo chakhne mein abhi kachche hain
hum se kya hogi talluq mein burai sahab
hum to bohtan hi ghaDne mein abhi kachche hain
itne logon mein koi Dhang ka wahshi na mila
ek do hain bhi to hansne mein abhi kachche hain
qahqaha mar ke hansne mein mahaarat hai hamein
lekin ek zaKHm ko dhakne mein abhi kachche hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.