parsaon ne baDe zarf ka izhaar kiya
pārsāoñ ne baḌe zarf kā iz.hār kiyā
mujh ko bhī hurmat-e-zebā kā ḳharīdār kiyā
vo jo thā ḳhud kī numā.ish kā taraf-dār badan
ḳhud ko ḳhvābīda kiyā aur mujhe bedār kiyā
bāñdh kar shāḳh laboñ par vo tabassum ke gulāb
merī mā'sūm tamanna ko talabgār kiyā
tum ne tohfe meñ diye the jo dahakte bose
un kī ḳhushbū ne hī rusvā sar-e-bāzār kiyā
ek lamhe ko sahī diid kā mausam Thahre
kuchh sarāboñ ne mujhe tishna-e-dīdār kiyā
qalb āshob-zada 'isyāñ se hotā kyoñ hai
roz-e-mahshar kā mujhe jis ne ḳhatāvār kiyā
apnī sochoñ kī lakīroñ se tarāshā thā tumheñ
ḳhitta-e-jāñ pe magar tum ne hī āzār kiyā
dard kī dhuup meñ saaya thā sukūnat kā jo
shaam aa.ī to lipaT kar mujhe bezār kiyā
jis kī mā'sūm adāoñ pe yaqīñ thā 'aḳhtar'
us ne pākīzgī se mujh ko gunahgār kiyā
parsaon ne baDe zarf ka izhaar kiya
mujh ko bhi hurmat-e-zeba ka KHaridar kiya
wo jo tha KHud ki numaish ka taraf-dar badan
KHud ko KHwabida kiya aur mujhe bedar kiya
bandh kar shaKH labon par wo tabassum ke gulab
meri ma'sum tamanna ko talabgar kiya
tum ne tohfe mein diye the jo dahakte bose
un ki KHushbu ne hi ruswa sar-e-bazar kiya
ek lamhe ko sahi did ka mausam Thahre
kuchh sarabon ne mujhe tishna-e-didar kiya
qalb aashob-zada 'isyan se hota kyon hai
roz-e-mahshar ka mujhe jis ne KHatawar kiya
apni sochon ki lakiron se tarasha tha tumhein
KHitta-e-jaan pe magar tum ne hi aazar kiya
dard ki dhup mein saya tha sukunat ka jo
sham aai to lipaT kar mujhe bezar kiya
jis ki ma'sum adaon pe yaqin tha 'aKHtar'
us ne pakizgi se mujh ko gunahgar kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.