pas aa kar bhi ana hai tujh mein
paas aa kar bhī anā hai tujh meñ
ye jhalak sab se judā hai tujh meñ
chhūnā chāhūñ to bikhar jaatā hai
mere ḳhvāboñ kī adā hai tujh meñ
kho na jaa.eñ mirī chāhat ke guhar
vaqt kuchh DhūñDh rahā hai tujh meñ
tū mire zehn kī raushan tasvīr
merā har rang khilā hai tujh meñ
tū muqaddas hai sahīfoñ kī tarah
merā har raaz chhupā hai tujh meñ
maiñ nahīñ to koī mujh sā hogā
vo jo ik shaḳhs chhupā hai tujh meñ
pas aa kar bhi ana hai tujh mein
ye jhalak sab se juda hai tujh mein
chhuna chahun to bikhar jata hai
mere KHwabon ki ada hai tujh mein
kho na jaen meri chahat ke guhar
waqt kuchh DhunDh raha hai tujh mein
tu mere zehn ki raushan taswir
mera har rang khila hai tujh mein
tu muqaddas hai sahifon ki tarah
mera har raaz chhupa hai tujh mein
main nahin to koi mujh sa hoga
wo jo ek shaKHs chhupa hai tujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.