pas aa kar dafatan jab dur ho jae koi
paas aa kar daf.atan jab duur ho jaa.e koī
haa.e vo aalam ki yuuñ ranjūr ho jaa.e koī
ḳhud-kushī ke vāste ghar se nikal paḌtā hai vo
jab kabhī hālāt se majbūr ho jaa.e koī
ye alāmat us ke apne zarf kī pahchān hai
bhuul kar auqāt jab maġhrūr ho jaa.e koī
ye sarāpā gul-badan to mai-kade jaisā lage
dekh kar āñkheñ tirī maḳhmūr ho jaa.e koī
ye to ai 'nayyar' kisī bhī mo.ajize se kam nahīñ
dekhte hī dekhte mash.hūr ho jaa.e koī
pas aa kar dafatan jab dur ho jae koi
hae wo aalam ki yun ranjur ho jae koi
KHud-kushi ke waste ghar se nikal paDta hai wo
jab kabhi haalat se majbur ho jae koi
ye alamat us ke apne zarf ki pahchan hai
bhul kar auqat jab maghrur ho jae koi
ye sarapa gul-badan to mai-kade jaisa lage
dekh kar aankhen teri maKHmur ho jae koi
ye to ai 'nayyar' kisi bhi moajize se kam nahin
dekhte hi dekhte mashhur ho jae koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.