paas aane kī kyā zarūrat thī
muskurāne kī kyā zarūrat thī
ham tumheñ yaad bhī to aate haiñ
ye batāne kī kyā zarūrat thī
ham to kaafī haiñ ek duuje ko
is zamāne kī kyā zarūrat thī
achchhā lagtā hai rūThnā tum par
maan jaane kī kyā zarūrat thī
mustaqil dil meñ tum ko rahnā thā
aane jaane kī kyā zarūrat thī
jab mohabbat pahuñch rahī thī hameñ
āb-o-dāne kī kyā zarūrat thī
gar tumheñ lauT kar nahīñ aanā
yaad aane kī kyā zarūrat thī
kitnā TūTegā zindagī-bhar ye
dil banāne kī kyā zarūrat thī
pas aane ki kya zarurat thi
muskurane ki kya zarurat thi
hum tumhein yaad bhi to aate hain
ye batane ki kya zarurat thi
hum to kafi hain ek duje ko
is zamane ki kya zarurat thi
achchha lagta hai ruThna tum par
man jaane ki kya zarurat thi
mustaqil dil mein tum ko rahna tha
aane jaane ki kya zarurat thi
jab mohabbat pahunch rahi thi hamein
aab-o-dane ki kya zarurat thi
gar tumhein lauT kar nahin aana
yaad aane ki kya zarurat thi
kitna TuTega zindagi-bhar ye
dil banane ki kya zarurat thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.