pas aane pe wo insan bhi nahin lagte hain
paas aane pe vo insāñ bhī nahīñ lagte haiñ
duur se log jo lagte haiñ ḳhudāoñ jaise
sānehe laakh sahī ham pe guzarne vaale
rāsto ham bhī nahīñ Dar ke Thaharne vaale
mārne vaale koī aur sabab DhūñD ki ham
maare jaane ke to Dar se nahīñ marne vaale
kitnī jaldī meñ huā ḳhatm mulāqāt kā vaqt
varna kyā kyā na savālāt the karne vaale
guftugū ḳhud se huī apne hī haq meñ varna
sach se is baar to ham bhī the mukarne vaale
zindagī apnī tamāsha hī sahī lekin ham
koī kirdār musalsal nahīñ karne vaale
ek kāġhaz ke bharose pe banā kar kashtī
gahre paanī meñ utarte haiñ utarne vaale
pyaas bhaḌkā.eñ jahāñ sirf ravayyoñ ke sarāb
ham bhī us dasht meñ paañv nahīñ dharne vaale
ham meñ kyoñ baat kabhī ho nahīñ paatī 'sīmā'
ham kisī roz yahī baat the karne vaale
pas aane pe wo insan bhi nahin lagte hain
dur se log jo lagte hain KHudaon jaise
sanehe lakh sahi hum pe guzarne wale
rasto hum bhi nahin Dar ke Thaharne wale
marne wale koi aur sabab DhunD ki hum
mare jaane ke to Dar se nahin marne wale
kitni jaldi mein hua KHatm mulaqat ka waqt
warna kya kya na sawalat the karne wale
guftugu KHud se hui apne hi haq mein warna
sach se is bar to hum bhi the mukarne wale
zindagi apni tamasha hi sahi lekin hum
koi kirdar musalsal nahin karne wale
ek kaghaz ke bharose pe bana kar kashti
gahre pani mein utarte hain utarne wale
pyas bhaDkaen jahan sirf rawayyon ke sarab
hum bhi us dasht mein panw nahin dharne wale
hum mein kyon baat kabhi ho nahin pati 'sima'
hum kisi roz yahi baat the karne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.