pas baiThe raho kuchh der bahal jaane do
paas baiThe raho kuchh der bahal jaane do
dil-e-dīvāna machaltā hai machal jaane do
Daal do tum mirī āñkhoñ meñ sharābī āñkheñ
merī hasrat mire armān nikal jaane do
tum to apne ruḳh-e-raushan se haTā do āñchal
chāñdnī raat jo Dhaltī hai to Dhal jaane do
raaz khul jā.egā gulshan ke nigahbānoñ kā
ai bahāro hameñ gulshan se nikal jaane do
ġham ye hai un kī nigāheñ na badal jaa.eñ kahīñ
gar badaltā hai zamāna to badal jaane do
dūsre daur ke āġhāz se pahle yaaro
laḌkhaḌāte hue rindoñ ko sambhal jaane do
husn vaalo dil-e-'anvar' se kināra na karo
husn kī sham.a pe parvāne ko jal jaane do
pas baiThe raho kuchh der bahal jaane do
dil-e-diwana machalta hai machal jaane do
Dal do tum meri aankhon mein sharabi aankhen
meri hasrat mere arman nikal jaane do
tum to apne ruKH-e-raushan se haTa do aanchal
chandni raat jo Dhalti hai to Dhal jaane do
raaz khul jaega gulshan ke nigahbanon ka
ai bahaaro hamein gulshan se nikal jaane do
gham ye hai un ki nigahen na badal jaen kahin
gar badalta hai zamana to badal jaane do
dusre daur ke aaghaz se pahle yaro
laDkhaDate hue rindon ko sambhal jaane do
husn walo dil-e-'anwar' se kinara na karo
husn ki shama pe parwane ko jal jaane do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.