pas-e-adab-e-mai-kashi rakhna
pās-e-ādāb-e-mai-kashī rakhnā
ḳhud ko tum mahv-e-tishnagī rakhnā
har kisī se na dostī rakhnā
dostoñ se na dushmanī rakhnā
gul na saare charāġh ho jaa.eñ
ek do meñ to raushnī rakhnā
laakh ḳhushiyāñ nasīb hoñ tum ko
ġham se vābasta zindagī rakhnā
dil kī garmī na sard ho jaa.e
aag siine meñ kuchh dabī rakhnā
ḳhatm rishta to kar rahe ho magar
kuchh ta'alluq kabhī kabhī rakhnā
sirf taqdīr hī nahīñ sab kuchh
dil meñ tadbīr bhī koī rakhnā
baat se bhī to baat bantī hai
baat bigḌe to tum banī rakhnā
'fauq' jiine ko ye zarūrī hai
kuchh na kuchh shaġhl-e-shā.erī rakhnā
pas-e-adab-e-mai-kashi rakhna
KHud ko tum mahw-e-tishnagi rakhna
har kisi se na dosti rakhna
doston se na dushmani rakhna
gul na sare charagh ho jaen
ek do mein to raushni rakhna
lakh KHushiyan nasib hon tum ko
gham se wabasta zindagi rakhna
dil ki garmi na sard ho jae
aag sine mein kuchh dabi rakhna
KHatm rishta to kar rahe ho magar
kuchh ta'alluq kabhi kabhi rakhna
sirf taqdir hi nahin sab kuchh
dil mein tadbir bhi koi rakhna
baat se bhi to baat banti hai
baat bigDe to tum bani rakhna
'fauq' jine ko ye zaruri hai
kuchh na kuchh shaghl-e-shaeri rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.