pas-e-wafa ka mujhko ehsas hai yahan tak
pās-e-vafā kā mujh ko ehsās hai yahāñ tak
dil ro rahā hai lekin lab par nahīñ fuġhāñ tak
kitnī rivāyatoñ meñ tarmīm ho rahī hai
pahuñchā hai jab se insāñ dahlīz-e-āsmāñ tak
barsoñ uThā.e ham ne ehsān ratjagoñ ke
barsoñ ke baa'd pahuñche ham mansab-e-fuġhāñ tak
peḌoñ pe shāḳhchoñ kā phir jism TūTtā hai
phir zahr-e-habs phailā har-shāḳh-e-gulsitāñ tak
tārīkiyoñ meñ shab kī jo diip jal rahe the
is sub.h-e-nau meñ un kā miltā nahīñ dhuāñ tak
kitne ḳhalīq saa.e ab dhuup de rahe haiñ
pahuñchā huuñ jab se 'sāġhar' maiñ nudrat-e-bayāñ tak
pas-e-wafa ka mujh ko ehsas hai yahan tak
dil ro raha hai lekin lab par nahin fughan tak
kitni riwayaton mein tarmim ho rahi hai
pahuncha hai jab se insan dahliz-e-asman tak
barson uThae hum ne ehsan ratjagon ke
barson ke ba'd pahunche hum mansab-e-fughan tak
peDon pe shaKHchon ka phir jism TuTta hai
phir zahr-e-habs phaila har-shaKH-e-gulsitan tak
tarikiyon mein shab ki jo dip jal rahe the
is subh-e-nau mein un ka milta nahin dhuan tak
kitne KHaliq sae ab dhup de rahe hain
pahuncha hun jab se 'saghar' main nudrat-e-bayan tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.