pas har pal ye raha hote juda dekha nahin
paas har pal ye rahā hote judā dekhā nahīñ
dard se behtar koī bhī ham-navā dekhā nahīñ
hijr kī rāteñ ye aañsū aur ye tanhā.iyāñ
tum ne mere saath kyā ye qāfila dekhā nahīñ
yaad hai tum ne dilā.ī thī qasam na milne kī
is liye sadiyoñ se maiñ ne aa.ina dekhā nahīñ
kaaT kar shah-rag kabhī hāsil huā hai ishq kyā
is se bad-tar aur duujā rāsta dekhā nahīñ
ishq ko likhne jo baiThī jab kabhī pannoñ pe maiñ
ye qalam bhī bolā aisā hādisa dekhā nahīñ
pas har pal ye raha hote juda dekha nahin
dard se behtar koi bhi ham-nawa dekha nahin
hijr ki raaten ye aansu aur ye tanhaiyan
tum ne mere sath kya ye qafila dekha nahin
yaad hai tum ne dilai thi qasam na milne ki
is liye sadiyon se main ne aaina dekha nahin
kaT kar shah-rag kabhi hasil hua hai ishq kya
is se bad-tar aur duja rasta dekha nahin
ishq ko likhne jo baiThi jab kabhi pannon pe main
ye qalam bhi bola aisa hadisa dekha nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.