pas jab wo sitam-ijad aaya
paas jab vo sitam-ījād aaya
kuchh bhī us dam na hameñ yaad aaya
ruḳh masarrat kā na dekhā ham ne
le ke har pal na.ī uftād aaya
us taraf jaanā huā band mirā
bazm vo jis se koī shaad aaya
malak-ul-maut ne rasta rokā
jab iram tak koī shaddād aaya
aa.e us bazm meñ sab shīr-talab
yuuñ to majnūñ koī farhād aaya
paḌ ga.iiñ ulTī tadābīr-e-sitam
dām-e-ḳhud-karda meñ sayyād aaya
yuuñ fuzūñ hote ga.e mere gunāh
le ke har pal na.e ā'dād aaya
pas jab wo sitam-ijad aaya
kuchh bhi us dam na hamein yaad aaya
ruKH masarrat ka na dekha hum ne
le ke har pal nai uftad aaya
us taraf jaana hua band mera
bazm wo jis se koi shad aaya
malak-ul-maut ne rasta roka
jab iram tak koi shaddad aaya
aae us bazm mein sab shir-talab
yun to majnun koi farhad aaya
paD gain ulTi tadabir-e-sitam
dam-e-KHud-karda mein sayyaad aaya
yun fuzun hote gae mere gunah
le ke har pal nae aa'dad aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.