pas mere ye kaisa saya hai
paas mere ye kaisā saaya hai
duur vo kyā diyā sā jaltā hai
raat kaTtī hai gahre paanī meñ
din kahīñ abr meñ guzartā hai
terī aahaT se mujh meñ duur talak
ek jangal sā phail jaatā hai
mauj meñ hai udhar jamāl tirā
ḳhuuñ idhar merā bhī uchhaltā hai
kufr hai hijr kā tasavvur bhī
āsmāñ kab zamīñ se bichhḌā hai
jaane kis mā'rke meñ shāmil huuñ
mujh meñ ik sabz-posh utrā hai
pas mere ye kaisa saya hai
dur wo kya diya sa jalta hai
raat kaTti hai gahre pani mein
din kahin abr mein guzarta hai
teri aahaT se mujh mein dur talak
ek jangal sa phail jata hai
mauj mein hai udhar jamal tera
KHun idhar mera bhi uchhalta hai
kufr hai hijr ka tasawwur bhi
aasman kab zamin se bichhDa hai
jaane kis ma'rke mein shamil hun
mujh mein ek sabz-posh utra hai
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 105)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.