pas rah kar bhi bahut dur hain hum bhi tum bhi
pas rah kar bhi bahut dur hain hum bhi tum bhi
Zafar Mahmood zafar
MORE BYZafar Mahmood zafar
paas rah kar bhī bahut duur haiñ ham bhī tum bhī
kis qadar be-bas-o-majbūr haiñ ham bhī tum bhī
aaj bhī andhī surangoñ meñ basar karte haiñ
aur ujāloñ se bahut duur haiñ ham bhī tum bhī
kaun qātil hai yahāñ sab ko ḳhabar hai lekin
gūñge bahre baḌe majbūr haiñ ham bhī tum bhī
jhuk ke milnā hameñ izzat meñ kamī lagtī hai
kitne kam-zarf haiñ maġhrūr haiñ ham bhī tum bhī
saañs bhī us kī hai ye jism usī kā taabe
ai 'zafar' lāġhar-o-ma.azūr haiñ ham bhī tum bhī
pas rah kar bhi bahut dur hain hum bhi tum bhi
kis qadar be-bas-o-majbur hain hum bhi tum bhi
aaj bhi andhi surangon mein basar karte hain
aur ujalon se bahut dur hain hum bhi tum bhi
kaun qatil hai yahan sab ko KHabar hai lekin
gunge bahre baDe majbur hain hum bhi tum bhi
jhuk ke milna hamein izzat mein kami lagti hai
kitne kam-zarf hain maghrur hain hum bhi tum bhi
sans bhi us ki hai ye jism usi ka tabe
ai 'zafar' laghar-o-mazur hain hum bhi tum bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.