pas se yun aanchal lahraate log guzarte rahte hain
paas se yuuñ āñchal lahrāte log guzarte rahte haiñ
mere badan meñ qaus-e-quzah ke rañg utarte rahte haiñ
apne andar chhupe hue dushman kā hai ehsās jinheñ
merī tarah vo log bhī apne aap se Darte rahte haiñ
ham ne dekhnā chhoḌ diye haiñ ik muddat se aise ḳhvāb
ta.abīroñ kī chāhat meñ jo ḳhvāb ki marte rahte haiñ
raah meñ chāhe dhuup kaḌī ho yā saa.e bāheñ phailā.eñ
jin kā kaam guzarnā hai vo log guzarte rahte haiñ
laakh shanāsā ho par ḳhushbū kis ko dikhā.ī detī hai
ek hamīñ haiñ der talak aaheñ jo bharte rahte haiñ
vāsta paḌtā hī rahtā hai tez havāoñ se apnā
ham be-ghar logoñ ke aksar jism bikharte rahte haiñ
sub.h-savere ghar se 'ḳhāvar' nikle ho phir dhyān rahe
kālī-rāt ke lamhe din kā ruup bhī dharte rahte haiñ
pas se yun aanchal lahraate log guzarte rahte hain
mere badan mein qaus-e-quzah ke rang utarte rahte hain
apne andar chhupe hue dushman ka hai ehsas jinhen
meri tarah wo log bhi apne aap se Darte rahte hain
hum ne dekhna chhoD diye hain ek muddat se aise KHwab
tabiron ki chahat mein jo KHwab ki marte rahte hain
rah mein chahe dhup kaDi ho ya sae bahen phailaen
jin ka kaam guzarna hai wo log guzarte rahte hain
lakh shanasa ho par KHushbu kis ko dikhai deti hai
ek hamin hain der talak aahen jo bharte rahte hain
wasta paDta hi rahta hai tez hawaon se apna
hum be-ghar logon ke aksar jism bikharte rahte hain
subh-sawere ghar se 'KHawar' nikle ho phir dhyan rahe
kali-raat ke lamhe din ka rup bhi dharte rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.