pas uske mere gham ka mudawa bhi nahin hai
paas us ke mire ġham kā mudāvā bhī nahīñ hai
lekin mujhe us shaḳhs se shikva bhī nahīñ hai
kyā ilm thā ye din bhī dikhā.egī mohabbat
vo aise milā jaise shanāsā bhī nahīñ hai
āñchal pe tire Taañk to detā dam-e-ruḳhsat
palkoñ pe mirī koī sitāra bhī nahīñ hai
hairān huuñ maiñ aaj sar-e-jāda-e-iḳhlās
tā-dūr koī naqsh-e-kaf-e-pā bhī nahīñ hai
kuchh habs to TuuTe ki tirī yaad kā bādal
khultā bhī nahīñ aur barastā bhī nahīñ hai
'ābid' ġham-e-hastī se nikal jā.eñge bach kar
is baab meñ ham ne kabhī sochā bhī nahīñ hai
pas us ke mere gham ka mudawa bhi nahin hai
lekin mujhe us shaKHs se shikwa bhi nahin hai
kya ilm tha ye din bhi dikhaegi mohabbat
wo aise mila jaise shanasa bhi nahin hai
aanchal pe tere Tank to deta dam-e-ruKHsat
palkon pe meri koi sitara bhi nahin hai
hairan hun main aaj sar-e-jada-e-iKHlas
ta-dur koi naqsh-e-kaf-e-pa bhi nahin hai
kuchh habs to TuTe ki teri yaad ka baadal
khulta bhi nahin aur barasta bhi nahin hai
'abid' gham-e-hasti se nikal jaenge bach kar
is bab mein hum ne kabhi socha bhi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.