pasban-e-shahr chup hai waqt kaisa aa gaya
pāsbān-e-shahr chup hai vaqt kaisā aa gayā
toḌ kar dīvār-o-dar bastī meñ sahrā aa gayā
dopahar kī dhuup aur sahrā koī kyā saath de
Dar ke jab ḳhud mere andar merā saayā aa gayā
aa.ine meñ baal ik chamkā mire sar kā safed
uḌ ke bāhar sahn meñ ik zard pattā aa gayā
ibn-e-ādam kā lahu sab kī bujhā detā hai pyaas
jab kabhī pyāsā huā bastī meñ dariyā aa gayā
hai vahī shā.ir mirī nazroñ meñ 'kāzim' kāmyāb
lafz kī talvār par jis ko ki chalnā aa gayā
pasban-e-shahr chup hai waqt kaisa aa gaya
toD kar diwar-o-dar basti mein sahra aa gaya
dopahar ki dhup aur sahra koi kya sath de
Dar ke jab KHud mere andar mera saya aa gaya
aaine mein baal ek chamka mere sar ka safed
uD ke bahar sahn mein ek zard patta aa gaya
ibn-e-adam ka lahu sab ki bujha deta hai pyas
jab kabhi pyasa hua basti mein dariya aa gaya
hai wahi shair meri nazron mein 'kazim' kaamyab
lafz ki talwar par jis ko ki chalna aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.