pasbanon se hi tang aane lage
pāsbānoñ se hī tang aane lage
phuul maalī se chehra chhupāne lage
naav kāġhaz kī bachche banāne lage
biite manzar mujhe yaad aane lage
duur maġhrib meñ sūraj lagā Dūbne
ham bhī le de ke apne Thikāne lage
terī yādeñ sahārā banīñ us ghaḌī
jab qadam ziist ke laḌkhaḌāne lage
dil diyā bhī to kitnī anā se diyā
chaar din meñ hī ehsāñ jatāne lage
tazkira jab jafā kā huā bazm meñ
log terā fasāna sunāne lage
pasbanon se hi tang aane lage
phul mali se chehra chhupane lage
naw kaghaz ki bachche banane lage
bite manzar mujhe yaad aane lage
dur maghrib mein suraj laga Dubne
hum bhi le de ke apne Thikane lage
teri yaaden sahaara banin us ghaDi
jab qadam zist ke laDkhaDane lage
dil diya bhi to kitni ana se diya
chaar din mein hi ehsan jatane lage
tazkira jab jafa ka hua bazm mein
log tera fasana sunane lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.