pata hun lal taish mein jaan-e-haya ko main
paatā huuñ laal taish meñ jān-e-hayā ko maiñ
kaise zabāñ pe lā.ūñ abhī mudda'ā ko maiñ
mushkil ghaḌī hai le leñ 'aqā.ed kā imtihāñ
tum hāth-pāoñ maaro pukārūñ ḳhudā ko maiñ
ik baar kī ḳhatā ho to laġhzish bhī maan luuñ
har baar ho to kyā kahūñ aisī ḳhatā ko maiñ
kartā rahā phir aaj kī shab bhī usī tarah
jugnū kā intizār bujhā kar diyā ko maiñ
aisā kabhī gunāh na kar baiThūñ ai ḳhudā
muñh bhī dikhā sakūñ na phir ahl-e-vafā ko maiñ
jo raakh bhī kured ke sho'le nikāl le
pahchāntā huuñ 'nazr' ik aisī havā ko maiñ
pata hun lal taish mein jaan-e-haya ko main
kaise zaban pe laun abhi mudda'a ko main
mushkil ghaDi hai le len 'aqaed ka imtihan
tum hath-paon maro pukarun KHuda ko main
ek bar ki KHata ho to laghzish bhi man lun
har bar ho to kya kahun aisi KHata ko main
karta raha phir aaj ki shab bhi usi tarah
jugnu ka intizar bujha kar diya ko main
aisa kabhi gunah na kar baiThun ai KHuda
munh bhi dikha sakun na phir ahl-e-wafa ko main
jo rakh bhi kured ke sho'le nikal le
pahchanta hun 'nazr' ek aisi hawa ko main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.