pate hain apne ko ab tak lutf se begana hum
paate haiñ apne ko ab tak lutf se begāna ham
ai haram vaale kareñ ābād kyā but-ḳhāna ham
mere dīvāne kahā thā tū ne ik din naaz se
ab tak apne ko samajhte haiñ tirā dīvāna ham
husn ko apne liye ik aa.ina darkār thā
mahv-e-hairat the hue vaqf-e-ruḳh-e-jānāna ham
tum kaho to pher leñ apnī haqīqat se bhī aañkh
tum suno to chheḌ deñ koī nayā afsāna ham
chāhte haiñ vo hamārī hī taraf maa.il rahe
us kī bazm-e-nāz ko samjhe haiñ ḳhalvat-ḳhāna ham
dekheñ kyā aa.e nazar ḳhākistar-e-parvāna meñ
dekhte haiñ sham.a meñ soz-e-dil-e-parvāna ham
vaqt Dālegā hamārī bhī haqīqat par naqāb
vo bhī din aa.egā jab ho jā.eñge afsāna ham
lauTte kyā tere maiḳhāne se be-nail-e-marām
mai na haath aa.ī to ġham se bhar chale paimāna ham
jā-ba-jā aatā gayā us kī navāzish kā bayāñ
apne dil kā der tak kahte rahe afsāna ham
laḌkhaḌātā dekh kar saaqī sahāre ko baḌhā
aa qadam le leñ tire ai laġhzish-e-mastāna ham
us kā afsūn-e-nazar hai apnā unvān-e-kalām
us ke afsūñ hī kā 'āsif' kahte haiñ afsāna ham
pate hain apne ko ab tak lutf se begana hum
ai haram wale karen aabaad kya but-KHana hum
mere diwane kaha tha tu ne ek din naz se
ab tak apne ko samajhte hain tera diwana hum
husn ko apne liye ek aaina darkar tha
mahw-e-hairat the hue waqf-e-ruKH-e-jaanana hum
tum kaho to pher len apni haqiqat se bhi aankh
tum suno to chheD den koi naya afsana hum
chahte hain wo hamari hi taraf mail rahe
us ki bazm-e-naz ko samjhe hain KHalwat-KHana hum
dekhen kya aae nazar KHakistar-e-parwana mein
dekhte hain shama mein soz-e-dil-e-parwana hum
waqt Dalega hamari bhi haqiqat par naqab
wo bhi din aaega jab ho jaenge afsana hum
lauTte kya tere maiKHane se be-nail-e-maram
mai na hath aai to gham se bhar chale paimana hum
ja-ba-ja aata gaya us ki nawazish ka bayan
apne dil ka der tak kahte rahe afsana hum
laDkhaData dekh kar saqi sahaare ko baDha
aa qadam le len tere ai laghzish-e-mastana hum
us ka afsun-e-nazar hai apna unwan-e-kalam
us ke afsun hi ka 'asif' kahte hain afsana hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.