paya tha kuchh sukun dil-e-dagh-dar ne
paayā thā kuchh sukūn dil-e-dāġh-dār ne
zaḳhmoñ ko phir nikhār diyā hai bahār ne
phir hai tire karam kī zarūrat nigāh-e-dost
āvāz dī hai mujh ko ġham-e-rozgār ne
aa jā ki dil duā na kare phir firāq kī
muztar banā diyā hai tire intizār ne
ahl-e-ḳhirad meñ koī na mansūr ban sakā
dīvāngī ko aam kiyā shauq-e-dār ne
'aḳhtar' na bujh sakegī vo sham-e-vafā kabhī
baḳhshī ho raushnī jise parvardigār ne
paya tha kuchh sukun dil-e-dagh-dar ne
zaKHmon ko phir nikhaar diya hai bahaar ne
phir hai tere karam ki zarurat nigah-e-dost
aawaz di hai mujh ko gham-e-rozgar ne
aa ja ki dil dua na kare phir firaq ki
muztar bana diya hai tere intizar ne
ahl-e-KHirad mein koi na mansur ban saka
diwangi ko aam kiya shauq-e-dar ne
'aKHtar' na bujh sakegi wo sham-e-wafa kabhi
baKHshi ho raushni jise parwardigar ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.