paD gae kyon mere pichhe hain ajab ustad ji
paḌ ga.e kyoñ mere pīchhe haiñ ajab ustād jī
aa ga.e tashīh karne be-sabab ustād jī
chāñd chehre ko ghaTā zulfoñ ko kahte haiñ mirī
saare Tharkī āshiqoñ meñ haiñ ġhazab ustād jī
matl.a se maqtā talak saarī ġhazal tharrā uThe
aa.eñ jab mujh ko sikhāne she.rī Dhab ustād jī
un ko batlā do jalānā paḌtā hai ḳhūn-e-jigar
yūñhī ban jaate nahīñ haiñ sab ke sab ustād jī
jī meñ aatā hai ki maiñ sar phoḌ luuñ dīvār se
apne hī ash.ār likhvāte haiñ jab ustād jī
koī to aa kar nikāle un ke changul se mujhe
mujh ko pāgal kar rahe haiñ roz-o-shab ustād jī
ehtirām un kā hai vājib mujh pe lekin kyā kahūñ
mujh sī ahqar ke liye haiñ be-adab ustād jī
jaane kab mil jaa.e mujh se bhī zahīn ik shā.era
mujh ko tanhā chhoḌ jaa.eñ jaane kab ustād jī
sach kahūñ assī ke pīThe meñ bhī lagte haiñ javāñ
haiñ hasīnoñ meñ hī kyoñ phir jāñ-ba-lab ustād jī
haañ magar kuchh dost aise haiñ bahut dil ke qarīñ
jin se mil kar yuuñ lage hai sirf rab ustād jī
jab se likhī hai ġhazal 'sīmā' ḳhafā haiñ jaane kyoñ
Dar hai raazī ho na jaa.eñ phir se ab ustād jī
paD gae kyon mere pichhe hain ajab ustad ji
aa gae tashih karne be-sabab ustad ji
chand chehre ko ghaTa zulfon ko kahte hain meri
sare Tharki aashiqon mein hain ghazab ustad ji
matla se maqta talak sari ghazal tharra uThe
aaen jab mujh ko sikhane sheri Dhab ustad ji
un ko batla do jalana paDta hai KHun-e-jigar
yunhi ban jate nahin hain sab ke sab ustad ji
ji mein aata hai ki main sar phoD lun diwar se
apne hi ashaar likhwate hain jab ustad ji
koi to aa kar nikale un ke changul se mujhe
mujh ko pagal kar rahe hain roz-o-shab ustad ji
ehtiram un ka hai wajib mujh pe lekin kya kahun
mujh si ahqar ke liye hain be-adab ustad ji
jaane kab mil jae mujh se bhi zahin ek shaera
mujh ko tanha chhoD jaen jaane kab ustad ji
sach kahun assi ke piThe mein bhi lagte hain jawan
hain hasinon mein hi kyon phir jaan-ba-lab ustad ji
han magar kuchh dost aise hain bahut dil ke qarin
jin se mil kar yun lage hai sirf rab ustad ji
jab se likhi hai ghazal 'sima' KHafa hain jaane kyon
Dar hai raazi ho na jaen phir se ab ustad ji
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.