paD gai dil mein tere tashrif farmane mein dhum
paD gai dil mein tere tashrif farmane mein dhum
Inamullah Khan Yaqeen
MORE BYInamullah Khan Yaqeen
paḌ ga.ī dil meñ tire tashrīf farmāne meñ dhuum
baaġh meñ machtī hai jaise fasl-e-gul aane meñ dhuum
terī āñkhoñ ne nashe meñ is tarah maarā hai josh
Dālte haiñ jis tarah bad-mast mai-ḳhāne meñ dhuum
chāñd ke partav se juuñ paanī meñ ho jalve kā hashr
tere muñh ke aks ne Daalī hai paimāne meñ dhuum
abr jaise mast ko shorish meñ laave dil ke beach
mach ga.ī ik baar un bāloñ ke khul jaane meñ dhuum
bū-e-mai aatī hai muñh se juuñ kalī se bū-e-gul
kyuuñ 'yaqīñ' se jaan karte ho mukar jaane meñ dhuum
paD gai dil mein tere tashrif farmane mein dhum
bagh mein machti hai jaise fasl-e-gul aane mein dhum
teri aankhon ne nashe mein is tarah mara hai josh
Dalte hain jis tarah bad-mast mai-KHane mein dhum
chand ke partaw se jun pani mein ho jalwe ka hashr
tere munh ke aks ne Dali hai paimane mein dhum
abr jaise mast ko shorish mein lawe dil ke beach
mach gai ek bar un baalon ke khul jaane mein dhum
bu-e-mai aati hai munh se jun kali se bu-e-gul
kyun 'yaqin' se jaan karte ho mukar jaane mein dhum
- Book : Ghazal Usne Chhedi (Part-1) (Pg. 195)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Books (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.