paDa hua hun tere pas itna sara main
paḌā huā huuñ tire paas itnā saarā maiñ
aur is ke baad bhī kam par karūñ guzārā maiñ
ba-shakl-e-sabza-o-gul ab nikal rahā huuñ jahāñ
gayā thā lā ke inhīñ jañgaloñ meñ maarā maiñ
bahut havas thī mujhe be-panāh hone kī
paḌī vo zarb girā ho ke pāra-pāra maiñ
tire navāh meñ ab bhī bahut huuñ bikhrā huā
huā nahīñ huuñ abhī jam.a tujh se saarā maiñ
ziyāda hai tū bahut aur maiñ bahut kam huuñ
tū suud hai mirā aur huuñ tirā ḳhasārā maiñ
jahāñ se toḌ diyā thā havā ne pichhlī baar
vahīñ se TūTne vaalā huuñ kyā dobāra maiñ
paDa hua hun tere pas itna sara main
aur is ke baad bhi kam par karun guzara main
ba-shakl-e-sabza-o-gul ab nikal raha hun jahan
gaya tha la ke inhin jangalon mein mara main
bahut hawas thi mujhe be-panah hone ki
paDi wo zarb gira ho ke para-para main
tere nawah mein ab bhi bahut hun bikhra hua
hua nahin hun abhi jama tujh se sara main
ziyaada hai tu bahut aur main bahut kam hun
tu sud hai mera aur hun tera KHasara main
jahan se toD diya tha hawa ne pichhli bar
wahin se TuTne wala hun kya dobara main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.