Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

paDe hain rah mein jaur-o-jafa ke silsile kitne

Basheshar Nath Kanwal Panipati

paDe hain rah mein jaur-o-jafa ke silsile kitne

Basheshar Nath Kanwal Panipati

MORE BYBasheshar Nath Kanwal Panipati

    paḌe haiñ raah meñ jaur-o-jafā ke silsile kitne

    mare sar se guzarne ko abhī haiñ hādse kitne

    kabhī sho.ale piye maiñ ne kabhī tūfāñ se Takrāyā

    mire siine pe likkhe haiñ junūñ ne hausle kitne

    udhar lohe ke darvāze idhar chāñdī dīvāreñ

    abhī insān se insān tak haiñ fāsle kitne

    bikhar kar ek dil Dhaltā hai kitne fasānoñ meñ

    gayā jab TuuT ā.īna to ā.īne bane kitne

    chalan thā āñdhiyoñ aur añdheroñ hukūmat thī

    diye ḳhud batā.eñge jale kitne bujhe kitne

    paDe hain rah mein jaur-o-jafa ke silsile kitne

    mare sar se guzarne ko abhi hain hadse kitne

    kabhi shoale piye main ne kabhi tufan se Takraya

    mere sine pe likkhe hain junun ne hausle kitne

    udhar lohe ke darwaze idhar chandi ki diwaren

    abhi insan se insan tak hain fasle kitne

    bikhar kar ek dil Dhalta hai kitne hi fasanon mein

    gaya jab TuT aaina to aaine bane kitne

    chalan tha aandhiyon ka aur andheron ki hukumat thi

    diye KHud hi bataenge jale kitne bujhe kitne

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now